Pata nahi kahan se mere man me ek aise viluptpraya jeev ka khayal aaya jiske sanrakshan ki kisi ko fikra nahi hai.Na to sarkar aise jeevon ko bachane ki baat karti hai na koi sangathan hi is disha me kuchh prayas karta hua dikhta hai.Yahan tak ki humen ye bhi nahi malum hai ki aisi prajati ke kitne jeev duniya me bache hain(Bache bhi hain ya..........).Aap soch rahe honge ki ye prajati kaun si hai.Ye anokhi prajati hai-'imandaar aur sachche insan' ki.Chaunk gaye!! main bhi chaunka tha jab ye vichar mere man me aaye the.Fir socha to laga ki,ye sun ne me atpata zaroor lag raha hai, parantu hai poorntaya satya.Aisi 'prajati' ke logon ki sankhya lagatar ghat rahi hai tatha iski na aapko sudh hai na mujhe.Ye kaisi vidambana hai ki hum duniya bhar ke janwaron ko bachane ke liye to prayasrat hain lekin Ishwar ke is sabse utkrishth kriti ki hum andekhi kar rahe hain.Is disha me hum itne udaaseen kaise ho sakte hain?Sanrakshan to door ki baat hum to, jane-anjane,aise logon ki sankhya kam karne me hi sahayak ban rahe hain.
Is samasya ke saath ek aur khaas baat yeh hai ki,samanya manyata ke vipreet iska karan ashiksha nahi balki shiksha hai!!! Aaj insan jitna shikshit ho raha hai utna hi manaviya mulyon se door ja raha hai.Aaj 'arth' hi shiksha ka arth ban kar rah gaya hai.Yahi karan hai ki is vishaya par humen gambheer chintan karne ki zarurat hai.Kabeer ke kar ka manka dari de, man ka manka fer par amal karna hoga.Ant me mujhe ek prasiddh ghazal ki do panktiyan yaad aarahi hain....
"...do aur do ka jod hamesha char kahan hota hai,
soch samajh walon ko thodi nadani de maula."
soch samajh walon ko thodi nadani de maula."