Tuesday, October 24, 2006

स्वयं की तलाश

एकाकी की परछाइयों में,
मन की गहराइयों में,
जब खो जाता हूँ मैं,
स्वयं को स्वयं से दूर ही पाता हूँ मैं।


कई लोगों से मैं मिला,अनेकों को जाना।
पर कहाँ मिलाप हुआ मेरा स्वयं से,
खुद को कहाँ है पहचाना ?
परिजनों को प्यार से,परजनों को ललकार से,
भिन्न-भिन्न व्यवहार से,सारे संसार से,
जब अपना परिचय बताता हूँ मैं,
स्वयं को स्वयं से दूर ही पाता हूँ मैं।

जीवन एक युद्घ,प्रतिदिन-प्रतिपल मैं लड़ रहा हूँ।
पथ में आती हार को कर के दरकिनार
बस जीतने का प्रयास कर रहा हूँ
जीत की आशा में,हार की निराशा में,
कठिण प्रयास में,दुःख में,उल्लास में,
जब खुद को ढूंढ़ना चाहता हूँ मैं,
स्वयं को स्वयं से दूर ही पाता हूँ मैं।


जीवन की इस भाग दौड़ में,
एक दूजे से आगे बढ़ने की होड़ में,
ऐसा लगता है कहीं कुछ छूट गया है,
मेरा मन जैसे मुझसे रूठ गया है।
इस आपाधापी से जब भी कुछ क्षण
अपने लिये चुराता हूँ मैं,
स्वयं को स्वयं से दूर ही पाता हूँ मैं।

खुद को जानने की कोशिश में,
मैंने बस इतना जाना है,
जीवन का एक गूढ़ रहस्य,
शायद मैंने पहचाना है।
हार-जीत निरर्थक,यहाँ
जीत का प्रयास ही जीत का अहसास है।
ज़िंदगी है ऐसा सफ़र जिसमें,रास्ते बड़े मंज़िलों से
स्वयं को पाना महत्वपूर्ण नहीं,
महत्वपूर्ण स्वयं की तलाश है ।।

Friday, February 24, 2006

Vilupt..!!!

"Kal achanak akhbaar me ek khabar par mera dhyan gaya jisme sarkar vanya-jeev sanrakshan ki baat kar rahi thi.Ye khabar bilkul nayi nahin hai,aisi khabaren aksar sun ne ko milti hain,maine bhi aisi khabaren pehle padhi/suni hai,par is baar jo naya tha vo tha is khabar ko padh kar mere man me aaya vichar.......
Pata nahi kahan se mere man me ek aise viluptpraya jeev ka khayal aaya jiske sanrakshan ki kisi ko fikra nahi hai.Na to sarkar aise jeevon ko bachane ki baat karti hai na koi sangathan hi is disha me kuchh prayas karta hua dikhta hai.Yahan tak ki humen ye bhi nahi malum hai ki aisi prajati ke kitne jeev duniya me bache hain(Bache bhi hain ya..........).Aap soch rahe honge ki ye prajati kaun si hai.Ye anokhi prajati hai-'imandaar aur sachche insan' ki.Chaunk gaye!! main bhi chaunka tha jab ye vichar mere man me aaye the.Fir socha to laga ki,ye sun ne me atpata zaroor lag raha hai, parantu hai poorntaya satya.Aisi 'prajati' ke logon ki sankhya lagatar ghat rahi hai tatha iski na aapko sudh hai na mujhe.Ye kaisi vidambana hai ki hum duniya bhar ke janwaron ko bachane ke liye to prayasrat hain lekin Ishwar ke is sabse utkrishth kriti ki hum andekhi kar rahe hain.Is disha me hum itne udaaseen kaise ho sakte hain?Sanrakshan to door ki baat hum to, jane-anjane,aise logon ki sankhya kam karne me hi sahayak ban rahe hain.
Is samasya ke saath ek aur khaas baat yeh hai ki,samanya manyata ke vipreet iska karan ashiksha nahi balki shiksha hai!!! Aaj insan jitna shikshit ho raha hai utna hi manaviya mulyon se door ja raha hai.Aaj 'arth' hi shiksha ka arth ban kar rah gaya hai.Yahi karan hai ki is vishaya par humen gambheer chintan karne ki zarurat hai.Kabeer ke kar ka manka dari de, man ka manka fer par amal karna hoga.Ant me mujhe ek prasiddh ghazal ki do panktiyan yaad aarahi hain....
"...do aur do ka jod hamesha char kahan hota hai,
soch samajh walon ko thodi nadani de maula."